zamin ki kokh se suraj uga ke dekha hai
zamīñ kī kokh se sūraj ugā ke dekhā hai
kabhī sitāroñ kī duniyā meñ jā ke dekhā hai
jo bevafā.ī kī fitrat hai jā nahīñ saktī
gale kā haar bhī us ko banā ke dekhā hai
zarūr dil pe lagā.egā koī zarb mire
ḳhudā hī jaane ki kyoñ muskurā ke dekhā hai
kisī ke ashk na chhalke na koī paas aaya
janāza maiñ ne ḳhud apnā uThā ke dekhā hai
isī liye to nazar aa.e mujh se sab baalā
ġhurūr-o-kibr kī dīvār Dhā ke dekhā hai
har ek uzv-e-badan us kā hai misālī 'shād'
qarīb rah ke bahut dilrubā ke dekhā hai
zamin ki kokh se suraj uga ke dekha hai
kabhi sitaron ki duniya mein ja ke dekha hai
jo bewafai ki fitrat hai ja nahin sakti
gale ka haar bhi us ko bana ke dekha hai
zarur dil pe lagaega koi zarb mere
KHuda hi jaane ki kyon muskura ke dekha hai
kisi ke ashk na chhalke na koi pas aaya
janaza main ne KHud apna uTha ke dekha hai
isi liye to nazar aae mujh se sab baala
ghurur-o-kibr ki diwar Dha ke dekha hai
har ek uzw-e-badan us ka hai misali 'shad'
qarib rah ke bahut dilruba ke dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.