zamin ki pyas ko sailab kyon dikhata hai
zamīñ kī pyaas ko sailāb kyoñ dikhātā hai
tū jāntā hai koī kaise ghar banātā hai
koī faqīr hai bastī se duur Tiile par
charāġh jaise añdhere meñ jagmagātā hai
lahū ke rishte nibhānā bhī mas.ala hai yahāñ
aur ek tū hai ki is daur meñ nibhātā ye
ye aur baat mirī aañkh ko rasā.ī nahīñ
koī to hai jo mire ḳhuun meñ samātā hai
tū apne baap ko samjhegā baap hone par
ki āsmān sitāre kahāñ se laatā hai
zamin ki pyas ko sailab kyon dikhata hai
tu jaanta hai koi kaise ghar banata hai
koi faqir hai basti se dur Tile par
charagh jaise andhere mein jagmagata hai
lahu ke rishte nibhana bhi masala hai yahan
aur ek tu hai ki is daur mein nibhata ye
ye aur baat meri aankh ko rasai nahin
koi to hai jo mere KHun mein samata hai
tu apne bap ko samjhega bap hone par
ki aasman sitare kahan se lata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.