zamin ki tah mein utarne ke baad khulte hain
zamīñ kī tah meñ utarne ke baad khulte haiñ
bahut se log to marne ke baad khulte haiñ
vahī darīche jo khulte the merī aahaT par
vo ab galī se guzarne ke baad khulte haiñ
kuchh aise yaar bhī rū-posh haiñ mire andar
jo āstīn katarne ke baad khulte haiñ
abhī to aap bahut tez chal rahe haiñ magar
safar ke raaz Thaharne ke baad khulte haiñ
use kaho ki bahut vaqt hai abhī darkār
ham ek umr guzarne baad khulte haiñ
zamin ki tah mein utarne ke baad khulte hain
bahut se log to marne ke baad khulte hain
wahi dariche jo khulte the meri aahaT par
wo ab gali se guzarne ke baad khulte hain
kuchh aise yar bhi ru-posh hain mere andar
jo aastin katarne ke baad khulte hain
abhi to aap bahut tez chal rahe hain magar
safar ke raaz Thaharne ke baad khulte hain
use kaho ki bahut waqt hai abhi darkar
hum ek umr guzarne baad khulte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.