zamin ko bhi KHala se misal di jae
zamīn ko bhī ḳhalā se misāl dī jaa.e
jo zindagī se mohabbat nikāl dī jaa.e
nikal hī aa.egā har mas.ale kā hal ḳhud hī
jo darmiyān se hujjat nikāl dī jaa.e
phir us ke baa'd to mashq-e-suḳhan akārat hai
agar ḳhayāl se jiddat nikāl dī jaa.e
mirī nazar meñ hai vo shaḳhs rahm ke qābil
ki jis ke maal se barakat nikāl dī jaa.e
qubūl hai ye tamannāoñ kā hujūm mujhe
magar ye vasl kī hasrat nikāl dī jaa.e
'munīr' ḳhalq-e-ḳhudā ko mile sukūn kā saañs
mire vatan se siyāsat nikāl dī jaa.e
zamin ko bhi KHala se misal di jae
jo zindagi se mohabbat nikal di jae
nikal hi aaega har masale ka hal KHud hi
jo darmiyan se hujjat nikal di jae
phir us ke ba'd to mashq-e-suKHan akarat hai
agar KHayal se jiddat nikal di jae
meri nazar mein hai wo shaKHs rahm ke qabil
ki jis ke mal se barakat nikal di jae
qubul hai ye tamannaon ka hujum mujhe
magar ye wasl ki hasrat nikal di jae
'munir' KHalq-e-KHuda ko mile sukun ka sans
mere watan se siyasat nikal di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.