zamin ko khinch ke main su-e-asman le jaun
zamīñ ko khīñch ke maiñ sū-e-asmāñ le jā.ūñ
ye dil kā dard hai is dard ko kahāñ le jā.ūñ
ye dil ajiib sī ik kashmakash se hai do-chār
natīja ek sā hogā ise jahāñ le jā.ūñ
yahāñ to gul bhī samāte nahīñ in āñkhoñ meñ
batā kahāñ maiñ ye chehrā dhuāñ dhuāñ le jā.ūñ
likhā to hai mirī be-ḳhvāb sī in āñkhoñ meñ
maiñ apne-āp ko duniyā se rā.egāñ le jā.ūñ
yahāñ tak aa ke palaTnā bhī mere bas meñ nahīñ
maiñ kis Thikāne 'ravish' ab ye jism o jaañ le jā.ūñ
zamin ko khinch ke main su-e-asman le jaun
ye dil ka dard hai is dard ko kahan le jaun
ye dil ajib si ek kashmakash se hai do-chaar
natija ek sa hoga ise jahan le jaun
yahan to gul bhi samate nahin in aankhon mein
bata kahan main ye chehra dhuan dhuan le jaun
likha to hai meri be-KHwab si in aankhon mein
main apne-ap ko duniya se raegan le jaun
yahan tak aa ke palaTna bhi mere bas mein nahin
main kis Thikane 'rawish' ab ye jism o jaan le jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.