zamin kuchh falak ko batane lagi hai
zamīñ kuchh falak ko batāne lagī hai
dhanak rañg ke giit gaane lagī hai
hai phailā ye har samt kaisā ujālā
dabe paaoñ shab jaise jaane lagī hai
ye bārish kī būñdeñ fazāoñ meñ uḌ kar
sitāroñ kī lau ko bujhāne lagī hai
vo sāhil pe jo apne naqsh-e-qadam the
unheñ ġham kī lahreñ miTāne lagī hai
ye pattoñ kī bāteñ daraḳhtoñ kī aaheñ
havā.eñ bhī qisse sunāne lagī hai
zamin kuchh falak ko batane lagi hai
dhanak rang ke git gane lagi hai
hai phaila ye har samt kaisa ujala
dabe paon shab jaise jaane lagi hai
ye barish ki bunden fazaon mein uD kar
sitaron ki lau ko bujhane lagi hai
wo sahil pe jo apne naqsh-e-qadam the
unhen gham ki lahren miTane lagi hai
ye patton ki baaten daraKHton ki aahen
hawaen bhi qisse sunane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.