zamin lagti hai aasmani bahut sukun hai
zamīn lagtī hai āsmānī bahut sukūñ hai
kisī kī jaarī hai mehrbānī bahut sukūñ hai
hayāt ke ik shajar kī ik shāḳh-e-dilrubā par
hai naġhma-zan tā.ir-e-javānī bahut sukūñ hai
ġhazal kā sāhil hai yā kinārā hai aarzū kā
sunā rahī hai havā kahānī bahut sukūñ hai
yaqīñ ke dariyā meñ bad-gumānī ne ḳhud-kushī kī
ye terī merī ye kāmrānī bahut sukūñ hai
na ā.eñge ab ġhamoñ ne kar lī hai dil se tauba
ye zindagānī hai shādmānī bahut sukūñ hai
tirī rifāqat hai ḳhushbuoñ ke hisār jaisī
mahak rahī hai tirī nishānī bahut sukūñ hai
sitam-shi’āro tumhārī bhaḌkā.ī aag meñ huuñ
yahāñ bhī hai merī qadrdānī bahut sukūñ hai
hamārī chhat par parind kyūñkar na aa.eñ 'zāhid'
yahāñ mayassar hai daana paanī bahut sukūñ hai
zamin lagti hai aasmani bahut sukun hai
kisi ki jari hai mehrbani bahut sukun hai
hayat ke ek shajar ki ek shaKH-e-dilruba par
hai naghma-zan tair-e-jawani bahut sukun hai
ghazal ka sahil hai ya kinara hai aarzu ka
suna rahi hai hawa kahani bahut sukun hai
yaqin ke dariya mein bad-gumani ne KHud-kushi ki
ye teri meri ye kaamrani bahut sukun hai
na aaenge ab ghamon ne kar li hai dil se tauba
ye zindagani hai shadmani bahut sukun hai
teri rifaqat hai KHushbuon ke hisar jaisi
mahak rahi hai teri nishani bahut sukun hai
sitam-shi’aro tumhaari bhaDkai aag mein hun
yahan bhi hai meri qadrdani bahut sukun hai
hamari chhat par parind kyunkar na aaen 'zahid'
yahan mayassar hai dana pani bahut sukun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.