zamin mai-kada-e-arsh-e-barin malum hoti hai
zamīn mai-kada-e-arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai
ye ḳhisht-e-ḳhum farishte kī jabīñ ma.alūm hotī hai
parī uḌne meñ zulf-e-ambarīñ ma.alūm hotī hai
ye kaalī shakl bhī kitnī hasīñ ma.alūm hotī hai
mirī hasrat tabassum-āfrīñ ma.alūm hotī hai
chhupī tere tabassum meñ nahīñ ma.alūm hotī hai
shafaq kah le koī chāhe shafaq-gūñ āsmāñ kah le
hameñ to kū-e-qātil kī zamīñ ma.alūm hotī hai
chalī hai teġh to kis naaz se tham tham ke ruk ruk kar
ye kuchh un se ziyāda nāznīñ ma.alūm hotī hai
are saaqī zarā merī sharāb-e-talḳh to laanā
mai-e-kausar to bilkul añgbīñ ma.alūm hotī hai
chhupī hai vo nigāh-e-shoḳh bhī mizhgāñ ke saa.e meñ
chhurī bhī aaj zer-e-āstīñ ma.alūm hotī hai
ubhāro to zarā shāyad mirā Duubā huā dil ho
koī shai bahr-e-ġham meñ tah-nashīñ ma.alūm hotī hai
nahīñ ab dard-e-dil lekin abhī tak hai asar kuchh kuchh
chamak rah rah ke pahlū meñ kahīñ ma.alūm hotī hai
asar Daalā hai hasrat ne nigāh-e-shauq par kitnā
ki vo ab bhī nigāh vāpsīñ ma.alūm hotī hai
ye ai sayyād rah rah kar chamaktī hai kahāñ bijlī
jahāñ merā nasheman thā vahīñ ma.alūm hotī hai
lapak us kī chamak us kī vahī dam-ḳham vahī aalam
ye bijlī koī āh-e-ātishīñ ma.alūm hotī hai
'riyāz' aisī mire dil se lagī hai jām-e-kausar kī
mai-e-añgūr ab achchhī nahīñ ma.alūm hotī hai
zamin mai-kada-e-arsh-e-barin malum hoti hai
ye KHisht-e-KHum farishte ki jabin malum hoti hai
pari uDne mein zulf-e-ambarin malum hoti hai
ye kali shakl bhi kitni hasin malum hoti hai
meri hasrat tabassum-afrin malum hoti hai
chhupi tere tabassum mein nahin malum hoti hai
shafaq kah le koi chahe shafaq-gun aasman kah le
hamein to ku-e-qatil ki zamin malum hoti hai
chali hai tegh to kis naz se tham tham ke ruk ruk kar
ye kuchh un se ziyaada naznin malum hoti hai
are saqi zara meri sharab-e-talKH to lana
mai-e-kausar to bilkul angbin malum hoti hai
chhupi hai wo nigah-e-shoKH bhi mizhgan ke sae mein
chhuri bhi aaj zer-e-astin malum hoti hai
ubhaaro to zara shayad mera Duba hua dil ho
koi shai bahr-e-gham mein tah-nashin malum hoti hai
nahin ab dard-e-dil lekin abhi tak hai asar kuchh kuchh
chamak rah rah ke pahlu mein kahin malum hoti hai
asar Dala hai hasrat ne nigah-e-shauq par kitna
ki wo ab bhi nigah wapsin malum hoti hai
ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahan bijli
jahan mera nasheman tha wahin malum hoti hai
lapak us ki chamak us ki wahi dam-KHam wahi aalam
ye bijli koi aah-e-atishin malum hoti hai
'riyaz' aisi mere dil se lagi hai jam-e-kausar ki
mai-e-angur ab achchhi nahin malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.