zamin mein bij jo boe gae hain nafrat ke
zamīñ meñ biij jo bo.e ga.e haiñ nafrat ke
to phuul kaise khileñge bhalā mohabbat ke
añdhere chhā.e hue haiñ jahāñ jahālat ke
vahāñ charāġh the raushan kabhī zehānat ke
ye apne mulk kī tahzīb hai na bhūlo ise
ki ban ke rishte nahīñ TūTte mohabbat ke
bhaḌak uTheñge agar chal paḌī havā phir se
sulag rahe haiñ jo jazbe yahāñ baġhāvat ke
hadīs-e-dil hai ye is ko bhī aap paḌh liije
paḌhe haiñ aap ne qisse bahut mohabbat ke
zamin mein bij jo boe gae hain nafrat ke
to phul kaise khilenge bhala mohabbat ke
andhere chhae hue hain jahan jahaalat ke
wahan charagh the raushan kabhi zehanat ke
ye apne mulk ki tahzib hai na bhulo ise
ki ban ke rishte nahin TuTte mohabbat ke
bhaDak uThenge agar chal paDi hawa phir se
sulag rahe hain jo jazbe yahan baghawat ke
hadis-e-dil hai ye is ko bhi aap paDh lije
paDhe hain aap ne qisse bahut mohabbat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.