zamin mein rah ke bhi ta-hadd-e-asman dekhun
zamīñ meñ rah ke bhī tā-hadd-e-āsmāñ dekhūñ
mujhe to aa rahe ho tum nazar jahāñ dekhūñ
chalā gayā hai bujhā kar diyā vo palkoñ kā
jahāñ thī raushnī maiñ us jagah dhuāñ dekhūñ
lagī hai aag ġhazab nafratoñ kī duniyā meñ
diloñ ke biich faqat aaj dūriyāñ dekhūñ
tumheñ to merī vafā bevafā.ī lagtī hai
maiñ ḳhūbiyoñ meñ bhī ab apnī ḳhāmiyāñ dekhūñ
‘ināyateñ haiñ ḳhudā kī kisī ne kyā paayā
karam hai us kā nihāñ ko bhī maiñ ayaañ dekhūñ
zamin mein rah ke bhi ta-hadd-e-asman dekhun
mujhe to aa rahe ho tum nazar jahan dekhun
chala gaya hai bujha kar diya wo palkon ka
jahan thi raushni main us jagah dhuan dekhun
lagi hai aag ghazab nafraton ki duniya mein
dilon ke bich faqat aaj duriyan dekhun
tumhein to meri wafa bewafai lagti hai
main KHubiyon mein bhi ab apni KHamiyan dekhun
‘inayaten hain KHuda ki kisi ne kya paya
karam hai us ka nihan ko bhi main ayan dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.