zamin mein raunaqen jitni hain aasman mein nahin
zamīñ meñ raunaqeñ jitnī haiñ āsmāñ meñ nahīñ
yaqīn meñ jo ujālā hai vo gumāñ meñ nahīñ
qubūl-e-ām kā darja bayāñ ko mil jaatā
adā-e-husn-e-ta’alluq mirī zabāñ meñ nahīñ
ba-har usuul qafas hī kī ek sūrat hai
agar sukūñ kā tasavvur hī āshiyāñ meñ nahīñ
zarā nazar se hijāb-e-nazar to uThne do
usī makāñ meñ mileñge vo jis makāñ meñ nahīñ
vo mere raaz chhupā.egā har tarīqe se
abhī ḳhulūs kā ehsās tarjumāñ meñ nahīñ
ab un se rābta qaa.em rahe to kaise rahe
koī nibāh kī sūrat hī darmiyāñ meñ nahīñ
kise batā.ūñ ki sar par ġhamoñ kā sūraj hai
ye vaqt vo hai ki saaya bhī sā.ebāñ meñ nahīñ
kisī kā ghar ho vahāñ se gurez behtar hai
jahāñ shu.ūr-e-mudārāt mezbāñ meñ nahīñ
chaman kā dard use kis tarah se hogā 'sirāj'
ki jab vatan kī mohabbat hī pāsbāñ meñ nahīñ
zamin mein raunaqen jitni hain aasman mein nahin
yaqin mein jo ujala hai wo guman mein nahin
qubul-e-am ka darja bayan ko mil jata
ada-e-husn-e-ta’alluq meri zaban mein nahin
ba-har usul qafas hi ki ek surat hai
agar sukun ka tasawwur hi aashiyan mein nahin
zara nazar se hijab-e-nazar to uThne do
usi makan mein milenge wo jis makan mein nahin
wo mere raaz chhupaega har tariqe se
abhi KHulus ka ehsas tarjuman mein nahin
ab un se rabta qaem rahe to kaise rahe
koi nibah ki surat hi darmiyan mein nahin
kise bataun ki sar par ghamon ka suraj hai
ye waqt wo hai ki saya bhi saeban mein nahin
kisi ka ghar ho wahan se gurez behtar hai
jahan shuur-e-mudaraat mezban mein nahin
chaman ka dard use kis tarah se hoga 'siraj'
ki jab watan ki mohabbat hi pasban mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.