zamin mein ya darun-e-asman hun
zamīñ meñ yā darūn-e-āsmāñ huuñ
mujhe DhūñDo to āḳhir maiñ kahāñ huuñ
añdhere to nigal jaa.eñ mujhe bhī
maiñ lākhoñ jugnuoñ ke darmiyāñ huuñ
mirī yaḳh-bastagī ik maslahat hai
maiñ sho'la sho'la huuñ ātish-fishāñ huuñ
hai ik vīrāñ jazīra merā maskan
maiñ apne raaz kā ḳhud rāzdāñ huuñ
mirī taḳhlīq-karda kuchh fasīleñ
javānib meñ haiñ aur maiñ darmiyāñ huuñ
maiñ ḳhud hī apnī kashtī apnā dariyā
maiñ ḳhud hī nāḳhudā huuñ bādbāñ huuñ
maiñ apnī dhun meñ ik jharne ke jaisā
maiñ apnī rau meñ ik mauj-e-ravāñ huuñ
hai mere haath meñ teġh-e-muqaddar
hisār-e-kusht-o-ḳhūñ ke darmiyāñ huuñ
abhī tak maiñ ġhubār-e-kārvāñ thā
magar ab maiñ amīr-e-kārvāñ huuñ
mire atrāf meñ mashkūk haiñ sab
akelā mo'tabar maiñ hī yahāñ huuñ
maiñ ḳhud hī lashkar-e-jarrār apnā
maiñ ḳhud apnā 'alam apnā nishāñ huuñ
zamin mein ya darun-e-asman hun
mujhe DhunDo to aaKHir main kahan hun
andhere to nigal jaen mujhe bhi
main lakhon jugnuon ke darmiyan hun
meri yaKH-bastagi ek maslahat hai
main sho'la sho'la hun aatish-fishan hun
hai ek viran jazira mera maskan
main apne raaz ka KHud raazdan hun
meri taKHliq-karda kuchh fasilen
jawanib mein hain aur main darmiyan hun
main KHud hi apni kashti apna dariya
main KHud hi naKHuda hun baadban hun
main apni dhun mein ek jharne ke jaisa
main apni rau mein ek mauj-e-rawan hun
hai mere hath mein tegh-e-muqaddar
hisar-e-kusht-o-KHun ke darmiyan hun
abhi tak main ghubar-e-karwan tha
magar ab main amir-e-karwan hun
mere atraf mein mashkuk hain sab
akela mo'tabar main hi yahan hun
main KHud hi lashkar-e-jarrar apna
main KHud apna 'alam apna nishan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.