zamin nahin thi zamin par koi makan nahin tha
zamīñ nahīñ thī zamīñ par koī makāñ nahīñ thā
maiñ un dinoñ bhī kahīñ thā jab āsmāñ nahīñ thā
kuchh is liye bhī musāfir bhaTak nahīñ paa.e
ki un ke saath koī mīr-e-kārvāñ nahīñ thā
ajiib shor thā jo uTh rahā thā siine se
ajiib aag thī jis kā koī dhuāñ nahīñ thā
maiñ chāhtā huuñ jise vo bhī chāhtā hai mujhe
yaqīñ karo mujhe is baat kā gumāñ nahīñ thā
vo koī aur thā jo tum se baat kar rahā thā
vo lafz mere the lekin mirā bayāñ nahīñ thā
vagarna mujh ko bhī kachhve se maat ho jaatī
hazār shukr ki raste meñ sā.ebāñ nahīñ thā
bichhaḌte vaqt jo vāpas bulā rahā thā mujhe
vo mere lauT ke aane pe shādmāñ nahīñ thā
zamin nahin thi zamin par koi makan nahin tha
main un dinon bhi kahin tha jab aasman nahin tha
kuchh is liye bhi musafir bhaTak nahin pae
ki un ke sath koi mir-e-karwan nahin tha
ajib shor tha jo uTh raha tha sine se
ajib aag thi jis ka koi dhuan nahin tha
main chahta hun jise wo bhi chahta hai mujhe
yaqin karo mujhe is baat ka guman nahin tha
wo koi aur tha jo tum se baat kar raha tha
wo lafz mere the lekin mera bayan nahin tha
wagarna mujh ko bhi kachhwe se mat ho jati
hazar shukr ki raste mein saeban nahin tha
bichhaDte waqt jo wapas bula raha tha mujhe
wo mere lauT ke aane pe shadman nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.