zamin par hashr kuchh aisa bapa hai
zamīñ par hashr kuchh aisā bapā hai
har insāñ apne andar chhup gayā hai
fazāoñ meñ har ik sū raushnī hai
na jaane aaj kis kā ghar jalā hai
use koshish meñ paḌhne kī lagā huuñ
varaq jo mere dil ne likh diyā hai
nazar aatī nahīñ hai shakl koī
bas ik saayā ḳhalā meñ chal rahā hai
diye haiñ apne-pan ne zaḳhm itne
koī hañs kar mile dil kāñptā hai
vahī ik yaad jo dil meñ basī thī
vahī to ab mire dil kī davā hai
ḳhalish taḌpā rahī thī kab se 'ādil'
nishān-e-zaḳhm ab jā kar milā hai
zamin par hashr kuchh aisa bapa hai
har insan apne andar chhup gaya hai
fazaon mein har ek su raushni hai
na jaane aaj kis ka ghar jala hai
use koshish mein paDhne ki laga hun
waraq jo mere dil ne likh diya hai
nazar aati nahin hai shakl koi
bas ek saya KHala mein chal raha hai
diye hain apne-pan ne zaKHm itne
koi hans kar mile dil kanpta hai
wahi ek yaad jo dil mein basi thi
wahi to ab mere dil ki dawa hai
KHalish taDpa rahi thi kab se 'adil'
nishan-e-zaKHm ab ja kar mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.