zamin par main udhar wo aasman par jagta hai
zamīñ par maiñ udhar vo āsmāñ par jāgtā hai
adhūrā chāñd mere saath aksar jāgtā hai
kabhī jo harf-e-haq merī zabāñ par jāgtā hai
sar-e-gardan mirī bātil kā ḳhanjar jāgtā hai
mire ashjār par jab bhī samar aane lage to
mire dil meñ kisī tūfān kā Dar jāgtā hai
mire atrāf meñ ik hū kā 'ālam hai musalsal
magar ye shor kaisā mere andar jāgtā hai
lagā kar pankh uḌ jaatī hai niiñd āñkhoñ se merī
tirā chehrā jo āñkhoñ meñ utar kar jāgtā hai
tumhārī raah takte takte furqat kī shaboñ meñ
agar so jaa.eñ āñkheñ to mirā dar jāgtā hai
kisī bhī rut meñ terā barf-e-dil pighlā nahīñ hai
ki tujh meñ mustaqil koī december jāgtā hai
koī fōtpath par sotā hai be-fikrī se 'sāgar'
koī phūloñ ke bistar par bhī shab-bhar jāgtā hai
zamin par main udhar wo aasman par jagta hai
adhura chand mere sath aksar jagta hai
kabhi jo harf-e-haq meri zaban par jagta hai
sar-e-gardan meri baatil ka KHanjar jagta hai
mere ashjar par jab bhi samar aane lage to
mere dil mein kisi tufan ka Dar jagta hai
mere atraf mein ek hu ka 'alam hai musalsal
magar ye shor kaisa mere andar jagta hai
laga kar pankh uD jati hai nind aankhon se meri
tera chehra jo aankhon mein utar kar jagta hai
tumhaari rah takte takte furqat ki shabon mein
agar so jaen aankhen to mera dar jagta hai
kisi bhi rut mein tera barf-e-dil pighla nahin hai
ki tujh mein mustaqil koi december jagta hai
koi footpath par sota hai be-fikri se 'sagar'
koi phulon ke bistar par bhi shab-bhar jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.