zamin pe aane se sanson ke ruTh jaane tak
zamīñ pe aane se sāñsoñ ke ruuTh jaane tak
ye ik safar hai musalsal qazā ke shāne tak
jo kā.enāt pe haq apnā maan baiThe the
unheñ bhī aanā paḌā āḳhirī Thikāne tak
zamīñ pe dil kī mohabbat javān hotī rahī
vafā kī dhuup pe bādal jafā ke chhāne tak
phir us ke ba.ad huā kyā mujhe nahīñ ma.alūm
maiñ hosh meñ rahī but ko ḳhudā banāne tak
sunā hai aap ināyat sabhī pe karte haiñ
kabhī to aa.eñ hamāre ġharīb-ḳhāne tak
nahīñ hai umr koī tai kisī bhī rishte kī
rahegā saath koī sirf āzmāne tak
zamin pe aane se sanson ke ruTh jaane tak
ye ek safar hai musalsal qaza ke shane tak
jo kaenat pe haq apna man baiThe the
unhen bhi aana paDa aaKHiri Thikane tak
zamin pe dil ki mohabbat jawan hoti rahi
wafa ki dhup pe baadal jafa ke chhane tak
phir us ke baad hua kya mujhe nahin malum
main hosh mein rahi but ko KHuda banane tak
suna hai aap inayat sabhi pe karte hain
kabhi to aaen hamare gharib-KHane tak
nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki
rahega sath koi sirf aazmane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.