zamin pe chand utarta dikhai deta hai
zamīñ pe chāñd utartā dikhā.ī detā hai
tirā ḳhayāl bhī tujh sā dikhā.ī detā hai
jo saath le ke chalā thā hazār hangāme
vo shaḳhs aaj akelā dikhā.ī detā hai
havā chalī to añdheroñ kī aag tez huī
har ek ḳhvāb pighaltā dikhā.ī detā hai
ye shahr haiñ ki sadāoñ ke gūñjte jangal
nā koī jism nā chehra dikhā.ī detā hai
badalte jaate haiñ alfāz sūrateñ apnī
chalo to ye bhī tamāsha dikhā.ī detā hai
baḌe ajiib haiñ ye dard-o-ġham ke rishte bhī
ki jis ko dekhiye apnā dikhā.ī detā hai
jo ham nahīñ to vahāñ aur koī ham jaisā
ġhamoñ kī dhuup meñ jaltā dikhā.ī detā hai
nahā rahe haiñ badan vaqt ke ujāloñ meñ
diloñ ke paas añdherā dikhā.ī detā hai
dayār-e-shauq ho yā dasht-e-be-karāñ 'jāmī'
kahāñ kahāñ koī tanhā dikhā.ī detā hai
zamin pe chand utarta dikhai deta hai
tera KHayal bhi tujh sa dikhai deta hai
jo sath le ke chala tha hazar hangame
wo shaKHs aaj akela dikhai deta hai
hawa chali to andheron ki aag tez hui
har ek KHwab pighalta dikhai deta hai
ye shahr hain ki sadaon ke gunjte jangal
na koi jism na chehra dikhai deta hai
badalte jate hain alfaz suraten apni
chalo to ye bhi tamasha dikhai deta hai
baDe ajib hain ye dard-o-gham ke rishte bhi
ki jis ko dekhiye apna dikhai deta hai
jo hum nahin to wahan aur koi hum jaisa
ghamon ki dhup mein jalta dikhai deta hai
naha rahe hain badan waqt ke ujalon mein
dilon ke pas andhera dikhai deta hai
dayar-e-shauq ho ya dasht-e-be-karan 'jami'
kahan kahan koi tanha dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.