Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin pe dhup hai bhojan hai jal hawa bhi hai

Neeraj Naveed

zamin pe dhup hai bhojan hai jal hawa bhi hai

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    zamīñ pe dhuup hai bhojan hai jal havā bhī hai

    yahāñ bashar hai to be-shak kahīñ ḳhudā bhī hai

    kahūñ maiñ kyā ki nigāhoñ ne sab kahā bhī hai

    jo mere dil meñ hai vo aap ko pata bhī hai

    vo māntā nahīñ mujh se vāsta bhī hai

    phir is ke baa'd vo hasrat se dekhtā bhī hai

    isī liye vo mire dil se kheltā bhī hai

    vo jāntā hai vahī dard hai davā bhī hai

    musībatoñ meñ mire saath vo rahā bhī hai

    magar yaqīñ nahīñ aatā vo bevafā bhī hai

    bahānā aap achchhā hai aur nayā bhī hai

    magar ye kah nahīñ sakte ki kaam bhī hai

    bichhaḌte vaqt dil aksar ye sochtā bhī hai

    ye kaisī qurbateñ haiñ jin meñ fāsla bhī hai

    ye vaj.h kam to nahīñ chāhne us ko ki vo

    bahut hasīn hai us par ġhazal-sarā bhī hai

    na yuuñ hatāsh ho tum hausla rakho 'nīraj'

    kahīñ agar jo hai manzil to rāsta bhī hai

    zamin pe dhup hai bhojan hai jal hawa bhi hai

    yahan bashar hai to be-shak kahin KHuda bhi hai

    kahun main kya ki nigahon ne sab kaha bhi hai

    jo mere dil mein hai wo aap ko pata bhi hai

    wo manta hi nahin mujh se wasta bhi hai

    phir is ke ba'd wo hasrat se dekhta bhi hai

    isi liye wo mere dil se khelta bhi hai

    wo jaanta hai wahi dard hai dawa bhi hai

    musibaton mein mere sath wo raha bhi hai

    magar yaqin nahin aata wo bewafa bhi hai

    bahana aap ka achchha hai aur naya bhi hai

    magar ye kah nahin sakte ki kaam ka bhi hai

    bichhaDte waqt dil aksar ye sochta bhi hai

    ye kaisi qurbaten hain jin mein fasla bhi hai

    ye wajh kam to nahin chahne ki us ko ki wo

    bahut hasin hai us par ghazal-sara bhi hai

    na yun hatash ho tum hausla rakho 'niraj'

    kahin agar jo hai manzil to rasta bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now