zamin pe hai na KHala mein na aasman mein hai
zamīñ pe hai na ḳhalā meñ na āsmān meñ hai
ye ḳhvāhishoñ kā talātum jo bādbān meñ hai
milā na tesha to ḳhud hī chaTak ke TuuT paḌī
balā kā zor ubhartī huī chaTān meñ hai
kisī ke jism kī chhāyā meñ maun baiThā huuñ
mire vajūd kā gautam ḳhud apne dhyān meñ hai
bujhī bujhī sī haiñ sub.heñ thakī thakī shāmeñ
na raushnī na añdherā kisī makān meñ hai
phir apne ghar kī udāsī meñ lauT aaya huuñ
udāsiyoñ kā ye jangal har ik makān meñ hai
na āñdhiyāñ haiñ na bārish na tez dhuup magar
chhupā chhupā sā vo kyoñ apne sā.ebān meñ hai
latīf baat bhī ahbāb ko khaTaktī hai
na jaane kaun sā kāñTā mirī zabān meñ hai
zamin pe hai na KHala mein na aasman mein hai
ye KHwahishon ka talatum jo baadban mein hai
mila na tesha to KHud hi chaTak ke TuT paDi
bala ka zor ubharti hui chaTan mein hai
kisi ke jism ki chhaya mein maun baiTha hun
mere wajud ka gautam KHud apne dhyan mein hai
bujhi bujhi si hain subhen thaki thaki shamen
na raushni na andhera kisi makan mein hai
phir apne ghar ki udasi mein lauT aaya hun
udasiyon ka ye jangal har ek makan mein hai
na aandhiyan hain na barish na tez dhup magar
chhupa chhupa sa wo kyon apne saeban mein hai
latif baat bhi ahbab ko khaTakti hai
na jaane kaun sa kanTa meri zaban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.