zamin pe jab bhi kisi parsa ko dukh hoga
zamīñ pe jab bhī kisī pārsā ko dukh hogā
ḳhudā gavāh hai ḳhalq-e-ḳhudā ko dukh hogā
vafā ke naam pe ai shaḳhs bevafā.ī na kar
hamārī ḳhair hai lekin vafā ko dukh hogā
jalā rahā thā charāġhoñ ko band kamroñ meñ
vo jāntā thā ki aise havā ko dukh hogā
jahāñ vo baiThegā kahlā.egī vo jā-e-nafīs
aur ās-pās kī saarī jagah ko dukh hogā
maiñ mushkilāt meñ huuñ par ḳhudā ko ilm na ho
mujhe patā hai ki mere ḳhudā ko dukh hogā
kuchh achchhe log faqat is liye bhī lauT ga.e
unheñ lagā thā ki shāyad qazā ko dukh hogā
zamin pe jab bhi kisi parsa ko dukh hoga
KHuda gawah hai KHalq-e-KHuda ko dukh hoga
wafa ke nam pe ai shaKHs bewafai na kar
hamari KHair hai lekin wafa ko dukh hoga
jala raha tha charaghon ko band kamron mein
wo jaanta tha ki aise hawa ko dukh hoga
jahan wo baiThega kahlaegi wo ja-e-nafis
aur aas-pas ki sari jagah ko dukh hoga
main mushkilat mein hun par KHuda ko ilm na ho
mujhe pata hai ki mere KHuda ko dukh hoga
kuchh achchhe log faqat is liye bhi lauT gae
unhen laga tha ki shayad qaza ko dukh hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.