zamin pe jab se mayassar hua makan mujhko
zamīñ pe jab se mayassar huā makāñ mujh ko
adab se qibla banā.e hai āsmāñ mujh ko
utar ke dariyā se honā hai kāmrāñ mujh ko
phir ek baar jalānī haiñ kashtiyāñ mujh ko
mujhe kahīñ kā na rakhte ye Dagmagāte paañv
sañbhāl le ga.iiñ kuchh merī nekiyāñ mujh ko
ye aur baat ki maiñ gard-e-kārvāñ bhī nahīñ
agarche honā thā sālār-e-kārvāñ mujh ko
jo lafz chhoTe haiñ kis tarh chhū sakeñge mujhe
ḳhudā ne dī haiñ suḳhan kī bulandiyāñ mujh ko
bahut jadīd hai duniyā ise ḳhabar bhī nahīñ
sunā rahā hai purānī kahāniyāñ mujh ko
maiñ apnī sat.h se nīche utar ke kyā kartā
pukārtī hī rahīñ kam-nigāhiyāñ mujh ko
maiñ koī aisā hunar-mand bhī na thā lekin
mire hunar ke mile phir bhī qadr-dāñ mujh ko
darāz hotī ga.ī zindagī kī kaalī raat
'ra.īs' raas na aa.e ye jism-o-jāñ mujh ko
zamin pe jab se mayassar hua makan mujh ko
adab se qibla banae hai aasman mujh ko
utar ke dariya se hona hai kaamran mujh ko
phir ek bar jalani hain kashtiyan mujh ko
mujhe kahin ka na rakhte ye Dagmagate panw
sanbhaal le gain kuchh meri nekiyan mujh ko
ye aur baat ki main gard-e-karwan bhi nahin
agarche hona tha salar-e-karwan mujh ko
jo lafz chhoTe hain kis tarh chhu sakenge mujhe
KHuda ne di hain suKHan ki bulandiyan mujh ko
bahut jadid hai duniya ise KHabar bhi nahin
suna raha hai purani kahaniyan mujh ko
main apni sath se niche utar ke kya karta
pukarti hi rahin kam-nigahiyan mujh ko
main koi aisa hunar-mand bhi na tha lekin
mere hunar ke mile phir bhi qadr-dan mujh ko
daraaz hoti gai zindagi ki kali raat
'rais' ras na aae ye jism-o-jaan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.