zamin pe munkashif hoga jo aasman mein hai
zamin pe munkashif hoga jo aasman mein hai
Syed Zafar Kashipurii
MORE BYSyed Zafar Kashipurii
zamīñ pe munkashif hogā jo āsmān meñ hai
parinda merī du'ā kā abhī uḌaan meñ hai
butān-e-āzarī sajde meñ gir paḌeñge sabhī
ye zarb-e-lā-ilah jab tak tirī azaan meñ hai
talab kī ḳhvāhisheñ jis samt chāhe le jaa.eñ
ki hausla abhī baaqī mirī takān meñ hai
darīche sard havāoñ ke khol de koī
bahut ghuTan mire TuuTe hue makān meñ hai
zarūrī hai rag-e-bātil ko kāTne ke liye
bachā ke rakhnā abhī tiir jo kamān meñ hai
tirī du'ā ne badal diiñ jahāñ kī taqdīreñ
asar vo ab kahāñ momin tirī zabān meñ hai
ḳhamoshiyoñ se ulajhnā nahīñ mirā sheva
vahī kahūñgā jo ab tak mire gumān meñ hai
fazā jahāñ kī mukaddar hai jis taraf jaao
har ek shaḳhs kahāñ gosha-e-amān meñ hai
mirā zamīr ḳhatāoñ kā murtakib hai 'zafar'
ye baat roz-e-azal se kisī bayān meñ hai
zamin pe munkashif hoga jo aasman mein hai
parinda meri du'a ka abhi uDan mein hai
butan-e-azari sajde mein gir paDenge sabhi
ye zarb-e-la-ilah jab tak teri azan mein hai
talab ki KHwahishen jis samt chahe le jaen
ki hausla abhi baqi meri takan mein hai
dariche sard hawaon ke khol de koi
bahut ghuTan mere TuTe hue makan mein hai
zaruri hai rag-e-baatil ko kaTne ke liye
bacha ke rakhna abhi tir jo kaman mein hai
teri du'a ne badal din jahan ki taqdiren
asar wo ab kahan momin teri zaban mein hai
KHamoshiyon se ulajhna nahin mera shewa
wahi kahunga jo ab tak mere guman mein hai
faza jahan ki mukaddar hai jis taraf jao
har ek shaKHs kahan gosha-e-aman mein hai
mera zamir KHataon ka murtakib hai 'zafar'
ye baat roz-e-azal se kisi bayan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.