zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main
zamīñ pe rah ke sitārā sā ho gayā thā maiñ
mujhe ḳhabar hai tumhārā sā ho gayā thā maiñ
balā-e-jāñ thī magar kitnā phuuT kar roī
nadī ke beach kinārā sā ho gayā thā maiñ
kisī ne merī matānat kā jab sabab pūchhā
bas ek pal meñ bechārā sā ho gayā thā maiñ
badan ko ruuh ne hamvār kar liyā lekin
use jo dekhā kañvārā sā ho gayā thā maiñ
maiñ nek-nām na rusvā magar sar-e-mahfil
ye aur baat gavārā sā ho gayā thā maiñ
bahut ḳhilāf thī āñkheñ bahut udaas thā din
ḳhud apne ghar meñ nazārā sā ho gayā thā maiñ
zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main
mujhe KHabar hai tumhaara sa ho gaya tha main
bala-e-jaan thi magar kitna phuT kar roi
nadi ke beach kinara sa ho gaya tha main
kisi ne meri matanat ka jab sabab puchha
bas ek pal mein bechaara sa ho gaya tha main
badan ko ruh ne hamwar kar liya lekin
use jo dekha kanwara sa ho gaya tha main
main nek-nam na ruswa magar sar-e-mahfil
ye aur baat gawara sa ho gaya tha main
bahut KHilaf thi aankhen bahut udas tha din
KHud apne ghar mein nazara sa ho gaya tha main
- Book : Taziyana (Pg. 121)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.