zamin pe rahte hue kahkashan se milte hain
zamīñ pe rahte hue kahkashāñ se milte haiñ
hamāre rañg bhī ab āsmāñ se milte haiñ
hamāre haal kī bosīdgī pe mat jaao
ḳhazāne ab bhī purāne makāñ se milte haiñ
tirī qasam kā bhī ab kaise e'tibār kareñ
tire yaqīñ to hamāre gumāñ se milte haiñ
vafā ḳhulūs mohabbat hamārā hissa hai
har ek shaḳhs ko ye sab kahāñ se milte haiñ
gale na ham ko lagā.eñ ki aap jal jaa.eñ
hamāre zaḳhm bhī barq-e-tapāñ se milte haiñ
zamin pe rahte hue kahkashan se milte hain
hamare rang bhi ab aasman se milte hain
hamare haal ki bosidgi pe mat jao
KHazane ab bhi purane makan se milte hain
teri qasam ka bhi ab kaise e'tibar karen
tere yaqin to hamare guman se milte hain
wafa KHulus mohabbat hamara hissa hai
har ek shaKHs ko ye sab kahan se milte hain
gale na hum ko lagaen ki aap jal jaen
hamare zaKHm bhi barq-e-tapan se milte hain
- Book : Lahja bolta hai (Pg. 109)
- Author : Siraj Alam Zakhmi
- Publication : Gulistan-e-adab (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.