zamin pe saya na barg-o-samar hain shaKHon par
zamīñ pe saayā na barg-o-samar haiñ shāḳhoñ par
ajiib qahr barastā hai ab daraḳhtoñ par
hamāre dāman-o-dast-e-tahī ko kuchh na milā
milā unhī ko jo maa.il na the duāoñ par
na de shikasta diloñ ko naved-e-mustaqbil
yahī bahut hai ki ab tak chhupe haiñ va.adoñ par
duā.eñ dījiye insāf-e-dast-e-qātil ko
ki rone vaale bhī baaqī rahe na lāshoñ par
vafā nazar nahīñ aa.ī kisī kī āñkhoñ meñ
ajiib vaqt paḌā hai hamārī āñkhoñ par
darūn-e-ḳhāna ḳhudā jaane kyā udāsī hai
rukī huī haiñ nigāheñ hasīñ darīchoñ par
adā ho maut ke dast-e-karam hī se shāyad
vo qarz-e-zīst jo baaqī hai apnī sāñsoñ par
kahāñ dikhā.ī de aks-e-ḳhulūs ab 'rāhī'
jamī hai gard-e-adāvat diloñ ke shīshoñ par
zamin pe saya na barg-o-samar hain shaKHon par
ajib qahr barasta hai ab daraKHton par
hamare daman-o-dast-e-tahi ko kuchh na mila
mila unhi ko jo mail na the duaon par
na de shikasta dilon ko nawed-e-mustaqbil
yahi bahut hai ki ab tak chhupe hain wadon par
duaen dijiye insaf-e-dast-e-qatil ko
ki rone wale bhi baqi rahe na lashon par
wafa nazar nahin aai kisi ki aankhon mein
ajib waqt paDa hai hamari aankhon par
darun-e-KHana KHuda jaane kya udasi hai
ruki hui hain nigahen hasin darichon par
ada ho maut ke dast-e-karam hi se shayad
wo qarz-e-zist jo baqi hai apni sanson par
kahan dikhai de aks-e-KHulus ab 'rahi'
jami hai gard-e-adawat dilon ke shishon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.