zamin ruki hui hai aasman ruka hua hai
zamīñ rukī huī hai āsmāñ rukā huā hai
tumhāre baad hamārā jahāñ rukā huā hai
kahānī aur koī moḌ hī nahīñ letī
usī kā zikr sar-e-dāstāñ rukā huā hai
jo rāhbar the vahī rahzanoñ se mil ga.e haiñ
isī liye ye mirā kārvāñ rukā huā hai
jo da.avedār thā kal tak mirī mohabbat kā
vo tiir ban ke miyān-e-kamāñ rukā huā hai
ye merā qatl tirī be-ruḳhī ke baa.is hai
vo zahr to abhī zer-e-zabāñ rukā huā hai
vahīñ khaḌā huuñ jahāñ chhoḌ kar ga.e the mujhe
vahīñ pe sham.a vahīñ pe dhuāñ rukā huā hai
ye fāsla to kisī taur kam nahīñ hotā
jo tere aur mire darmiyāñ rukā huā hai
zamin ruki hui hai aasman ruka hua hai
tumhaare baad hamara jahan ruka hua hai
kahani aur koi moD hi nahin leti
usi ka zikr sar-e-dastan ruka hua hai
jo rahbar the wahi rahzanon se mil gae hain
isi liye ye mera karwan ruka hua hai
jo dawedar tha kal tak meri mohabbat ka
wo tir ban ke miyan-e-kaman ruka hua hai
ye mera qatl teri be-ruKHi ke bais hai
wo zahr to abhi zer-e-zaban ruka hua hai
wahin khaDa hun jahan chhoD kar gae the mujhe
wahin pe shama wahin pe dhuan ruka hua hai
ye fasla to kisi taur kam nahin hota
jo tere aur mere darmiyan ruka hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.