zamin se aasman ghabra gaya hai
zamīñ se āsmāñ ghabrā gayā hai
savā neze pe sūraj aa gayā hai
falak pe barq sī lahrā rahī hai
ġham-e-hastī kā bādal chhā gayā hai
jahāñ zaḳhm-e-junūñ ne aañkh kholī
har ik gul aql kā murjhā gayā hai
kisī kā dard hai aur apnā dil hai
ye shīsha sañg se Takrā gayā hai
jise kal ḳhvāb meñ dekhā thā maiñ ne
vo mere sāmne yuuñ aa gayā hai
mujhe khānā thā uf 'ḳhurshīd' ġham ko
magar mujh ko yahī ḳhud khā gayā hai
zamin se aasman ghabra gaya hai
sawa neze pe suraj aa gaya hai
falak pe barq si lahra rahi hai
gham-e-hasti ka baadal chha gaya hai
jahan zaKHm-e-junun ne aankh kholi
har ek gul aql ka murjha gaya hai
kisi ka dard hai aur apna dil hai
ye shisha sang se Takra gaya hai
jise kal KHwab mein dekha tha main ne
wo mere samne yun aa gaya hai
mujhe khana tha uf 'KHurshid' gham ko
magar mujh ko yahi KHud kha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.