zamin se aasman tak koi istiara nahin
zamīñ se āsmāñ tak koī isti.āra nahīñ
kisī ke ham nahīñ haiñ aur koī hamārā nahīñ
bhañvar-badan se kuchh is tarah ham ulajh baiThe
nikal ke jaa.eñ kidhar koī bhī kinārā nahīñ
usī ko ḳhvāb-e-havas meñ haiñ dekhtī āñkheñ
hamāre paas koī aur māh-pāra nahīñ
vo chāhtā hai ki ham dastaras meñ us kī raheñ
kisī kā ho ke raheñ ye use gavārā nahīñ
vajūd-e-jāñ ke sivā milkiyat nahīñ kuchh bhī
isī sabab se mirā koī goshvārā nahīñ
chalo ki karte haiñ taḳhlīq ik na.ī duniyā
koī nasīb kā apne yahāñ sitāra nahīñ
zamin se aasman tak koi istiara nahin
kisi ke hum nahin hain aur koi hamara nahin
bhanwar-badan se kuchh is tarah hum ulajh baiThe
nikal ke jaen kidhar koi bhi kinara nahin
usi ko KHwab-e-hawas mein hain dekhti aankhen
hamare pas koi aur mah-para nahin
wo chahta hai ki hum dastaras mein us ki rahen
kisi ka ho ke rahen ye use gawara nahin
wajud-e-jaan ke siwa milkiyat nahin kuchh bhi
isi sabab se mera koi goshwara nahin
chalo ki karte hain taKHliq ek nai duniya
koi nasib ka apne yahan sitara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.