zamin se aasman tak ya makan se la-makan tak hai
zamīñ se āsmāñ tak yā makāñ se lā-makāñ tak hai
jamāl-e-yār kā partav ḳhudā jaane kahāñ tak hai
chaman meñ bijliyo kuchh aur bhī to āshiyāne haiñ
magar saarā tabassum sirf mere āshiyāñ tak hai
mire shor-e-junūñ se husn kī hai garm-bāzārī
tajallī sham.a kī parvāna-e-ātish-ba-jāñ tak hai
nishāt-e-jāvedāñ hotā hai hāsil be-niyāzī se
vajūd-e-ranj-o-ġham andesha-e-sūd-o-ziyāñ tak hai
nigāh-e-shauq kī gustāḳhiyāñ kar deñgī shoḳh un ko
hameñ bhī dekhnā hai sharm kī vus.at kahāñ tak hai
mire īmān-o-dil kī kyā hai qīmat jab ki ai zāhid
tasadduq un ke jalvoñ par matā-e-do-jahāñ tak hai
jo haiñ be-ḳhānumāñ un ko surūr-e-zindagī kyā ho
maza gulshan meñ rahne kā vajūd-e-āshiyāñ tak hai
safīne ġharq lākhoñ ho ga.e bahr-e-mohabbat meñ
ḳhudā ma.alūm is dariyā kī gahrā.ī kahāñ tak hai
ta.ammul kyā hai kar le bai.at-e-dast-e-subū zāhid
ḳhabar bhī hai ki is kā silsila pīr-e-muġhāñ tak hai
mire miTte hī miT jā.egī shān-e-barhamī terī
tire ḳhanjar kī shoḳhī mere zaḳhm-e-ḳhūñ-chakāñ tak hai
junūn-e-shauq se idrāk hogā un ke jalve kā
ḳhirad kī kār-farmā.ī faqat vahm-o-gumāñ tak hai
'valī' do ek saa.at meñ likhī āḳhir ġhazal tū ne
tire fikr-e-falak-paimā kī jaulānī yahāñ tak hai
zamin se aasman tak ya makan se la-makan tak hai
jamal-e-yar ka partaw KHuda jaane kahan tak hai
chaman mein bijliyo kuchh aur bhi to aashiyane hain
magar sara tabassum sirf mere aashiyan tak hai
mere shor-e-junun se husn ki hai garm-bazari
tajalli shama ki parwana-e-atish-ba-jaan tak hai
nishat-e-jawedan hota hai hasil be-niyazi se
wajud-e-ranj-o-gham andesha-e-sud-o-ziyan tak hai
nigah-e-shauq ki gustaKHiyan kar dengi shoKH un ko
hamein bhi dekhna hai sharm ki wusat kahan tak hai
mere iman-o-dil ki kya hai qimat jab ki ai zahid
tasadduq un ke jalwon par mata-e-do-jahan tak hai
jo hain be-KHanuman un ko surur-e-zindagi kya ho
maza gulshan mein rahne ka wajud-e-ashiyan tak hai
safine gharq lakhon ho gae bahr-e-mohabbat mein
KHuda malum is dariya ki gahrai kahan tak hai
tammul kya hai kar le baiat-e-dast-e-subu zahid
KHabar bhi hai ki is ka silsila pir-e-mughan tak hai
mere miTte hi miT jaegi shan-e-barhami teri
tere KHanjar ki shoKHi mere zaKHm-e-KHun-chakan tak hai
junun-e-shauq se idrak hoga un ke jalwe ka
KHirad ki kar-farmai faqat wahm-o-guman tak hai
'wali' do ek saat mein likhi aaKHir ghazal tu ne
tere fikr-e-falak-paima ki jaulani yahan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.