zamin se dur sitaron ke darmiyan raushan
zamīñ se duur sitāroñ ke darmiyāñ raushan
siyāh raat meñ kab se hai kahkashāñ raushan hai
shafaq-misāl lahū-rang merī ḳhaak huī
'azā kī shaam huā merā ashk-dāñ raushan
nasheb-e-huzn meñ shām-e-siyāh-baḳht kaTī
phir ik charāġh huā shab pe mehrbāñ raushan
yahīñ kahīñ thā añdhere meñ mā'bad-e-zartusht
qadīm aag se haiñ mash'aleñ jahāñ raushan
barahnagī ne bhī rokā na archimedes ko
'ajab ghaḌī thī huī fikr-e-nukta-dāñ raushan
safar-nasīb huuñ maiñ māh-e-nīm-māh kī shab
charāġh-e-kohna se hai tāq-e-āsmāñ raushan
sitāra ho ki parinda koī ḳhabar laa.e
hameshgī meñ hai kyā qasr-e-lā-makāñ raushan
zamin se dur sitaron ke darmiyan raushan
siyah raat mein kab se hai kahkashan raushan hai
shafaq-misal lahu-rang meri KHak hui
'aza ki sham hua mera ashk-dan raushan
nasheb-e-huzn mein sham-e-siyah-baKHt kaTi
phir ek charagh hua shab pe mehrban raushan
yahin kahin tha andhere mein ma'bad-e-zartusht
qadim aag se hain mash'alen jahan raushan
barahnagi ne bhi roka na archimedes ko
'ajab ghaDi thi hui fikr-e-nukta-dan raushan
safar-nasib hun main mah-e-nim-mah ki shab
charagh-e-kohna se hai taq-e-asman raushan
sitara ho ki parinda koi KHabar lae
hameshgi mein hai kya qasr-e-la-makan raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.