zamin se kan laga aur aasman se sun
zamīñ se kaan lagā aur āsmān se sun
magar hai saḳht bahut marhala ye dhyān se sun
navāh-e-shahr meñ sun bheḌiyoñ kī āvāzeñ
lahū kī chīḳh har ik kū-e-be-amān se sun
har ek ḳhāna-e-ābād ghar hai vahshat kā
sadā.eñ gūñjte jangal kī har makān se sun
jo pahlī shart hai sunñe kī vo to puurī kar
yaqīñ nahīñ to kisī nek-o-bad-gumān se sun
jo saat pardoñ meñ rahtā thā rang-manch pe hai
suḳhan jo zer-e-labī thā vo ik jahān se sun
kathā qasāvat-e-qalbī ke barf hāthoñ kī
har ek moḌ pe jalte hue makān se sun
nazar ke aage ujaḌtī haiñ bastiyāñ kaise
ye dāstān bhī ik din mirī zabān se sun
nigāh-e-ġhair se māñgī huī samā.at se
kar apnī aañkh se nazzāra apne kaan se sun
fasād-e-shahr ke qisse sunā.eñge bāzār
kasād-e-dil kī kahānī har ik dukān se sun
hunar to jaan liye 'muztar' aib bhī apne
isī sukūn isī dhyān isī rasān se sun
zamin se kan laga aur aasman se sun
magar hai saKHt bahut marhala ye dhyan se sun
nawah-e-shahr mein sun bheDiyon ki aawazen
lahu ki chiKH har ek ku-e-be-aman se sun
har ek KHana-e-abaad ghar hai wahshat ka
sadaen gunjte jangal ki har makan se sun
jo pahli shart hai sunne ki wo to puri kar
yaqin nahin to kisi nek-o-bad-guman se sun
jo sat pardon mein rahta tha rang-manch pe hai
suKHan jo zer-e-labi tha wo ek jahan se sun
katha qasawat-e-qalbi ke barf hathon ki
har ek moD pe jalte hue makan se sun
nazar ke aage ujaDti hain bastiyan kaise
ye dastan bhi ek din meri zaban se sun
nigah-e-ghair se mangi hui samaat se
kar apni aankh se nazzara apne kan se sun
fasad-e-shahr ke qisse sunaenge bazar
kasad-e-dil ki kahani har ek dukan se sun
hunar to jaan liye 'muztar' aib bhi apne
isi sukun isi dhyan isi rasan se sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.