zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin
zamīñ se shukr o shikāyat hai āsmāñ se nahīñ
ki ham yahīñ se haiñ jo kuchh bhī haiñ vahāñ se nahīñ
bas ek saaya sā phirtā hai dil meñ āvāra
hamāre ġham kā koī silsila fuġhāñ se nahīñ
savāl-e-shola-e-nok-e-zabāñ hai kyā kahiye
kahāñ se aa.e haiñ ham log aur kahāñ se nahīñ
ravish meñ charḳh tapish meñ zamīñ dihish meñ sahāb
ye musht-e-ḳhāk kisī tiira ḳhāk-dāñ se nahīñ
hunar hai masti-e-jāñ raunaq-e-dukāñ kyuuñ ho
ayār-e-masti-e-jāñ raunaq-e-dukāñ se nahīñ
mirā nasab hai mirī zāt-e-pāk se zāhir
sharāfat-e-nasabī naubat o nishāñ se nahīñ
zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin
ki hum yahin se hain jo kuchh bhi hain wahan se nahin
bas ek saya sa phirta hai dil mein aawara
hamare gham ka koi silsila fughan se nahin
sawal-e-shola-e-nok-e-zaban hai kya kahiye
kahan se aae hain hum log aur kahan se nahin
rawish mein charKH tapish mein zamin dihish mein sahab
ye musht-e-KHak kisi tera KHak-dan se nahin
hunar hai masti-e-jaan raunaq-e-dukan kyun ho
ayar-e-masti-e-jaan raunaq-e-dukan se nahin
mera nasab hai meri zat-e-pak se zahir
sharafat-e-nasabi naubat o nishan se nahin
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 529)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.