zamin se ta-ba-falak koi fasla bhi nahin
zamīñ se tā-ba-falak koī fāsla bhī nahīñ
magar ufuq kī taraf koī dekhtā bhī nahīñ
sunā hai sabz ravā oḌh lī chaman ne magar
havā ke zor se barg-e-ḳhizāñ girā bhī nahīñ
bahut basīt hai dasht-e-jafā kī tanhā.ī
qarīb-o-dūr koī āhū-e-vafā bhī nahīñ
mujhe to ahd kā āshob kar gayā patthar
maiñ dard-mand kahāñ dard-āshnā bhī nahīñ
kabhī ḳhayāl ke rishtoñ ko bhī TaTol ke dekh
maiñ tujh se duur sahī tujh se kuchh judā bhī nahīñ
qadam qadam pe shikastoñ kā sāmnā hai magar
ye dil vo shīsha-e-jāñ hai ki TūTtā bhī nahīñ
mire vajūd meñ barpā hai us ḳhayāl se hashr
jo mere zehn meñ paidā abhī huā bhī nahīñ
maiñ jis ke sehr se koh-e-nidā tak aa pahuñchā
vo harf abhī mire lab se adā huā bhī nahīñ
maiñ ek gumbad-e-be-dar meñ qaid huuñ 'ārif'
mirī navā kā safar varna be-darā bhī nahīñ
zamin se ta-ba-falak koi fasla bhi nahin
magar ufuq ki taraf koi dekhta bhi nahin
suna hai sabz rawa oDh li chaman ne magar
hawa ke zor se barg-e-KHizan gira bhi nahin
bahut basit hai dasht-e-jafa ki tanhai
qarib-o-dur koi aahu-e-wafa bhi nahin
mujhe to ahd ka aashob kar gaya patthar
main dard-mand kahan dard-ashna bhi nahin
kabhi KHayal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se dur sahi tujh se kuchh juda bhi nahin
qadam qadam pe shikaston ka samna hai magar
ye dil wo shisha-e-jaan hai ki TuTta bhi nahin
mere wajud mein barpa hai us KHayal se hashr
jo mere zehn mein paida abhi hua bhi nahin
main jis ke sehr se koh-e-nida tak aa pahuncha
wo harf abhi mere lab se ada hua bhi nahin
main ek gumbad-e-be-dar mein qaid hun 'arif'
meri nawa ka safar warna be-dara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.