zamin se ta-falak chhai hui hai raushni-e-la
zamīñ se tā-falak chhā.ī huī hai raushnī-e-lā
ye saarā shahr hai merī nazar meñ aañkh kā dhokā
samundar meñ nadī ban kar utar jā.ūñ kahāñ tak maiñ
nigal jā.egā paanī ek din saarā badan merā
ugal degī zamīñ sab aag ik din apne andar kī
rakhe kab tak bhalā ye bojh siine par pahāḌoñ kā
nagar ko log khultā sā ik ā.īna samajhte the
magar mujh ko nazar aayā koī chehra na apnā sā
use meñ DhūñDhtā thā raat kī gahrī ḳhamoshī meñ
na jaane kis tarah phir shahr meñ merā huā charchā
zamin se ta-falak chhai hui hai raushni-e-la
ye sara shahr hai meri nazar mein aankh ka dhoka
samundar mein nadi ban kar utar jaun kahan tak main
nigal jaega pani ek din sara badan mera
ugal degi zamin sab aag ek din apne andar ki
rakhe kab tak bhala ye bojh sine par pahaDon ka
nagar ko log khulta sa ek aaina samajhte the
magar mujh ko nazar aaya koi chehra na apna sa
use mein DhunDhta tha raat ki gahri KHamoshi mein
na jaane kis tarah phir shahr mein mera hua charcha
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 633)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.