zamin Thahar na saki aur na aasman Thahra
zamīñ Thahar na sakī aur na āsmāñ Thahrā
mirā hī zauq-e-junūñ merā pāsbāñ Thahrā
lagā.ī jis ke liye taḳht-o-tāj ko Thokar
usī kī bazm meñ maiñ misl-e-dāstāñ Thahrā
hamārā naqsh-e-qadam hai vahāñ vahāñ raushan
vafā kī raah meñ thak kar jahāñ jahāñ Thahrā
lipaT ke dāman-e-gul se kahā ye bulbul ne
nigāh-e-barq meñ merā hī āshiyāñ Thahrā
paḌhā sabhī ne use par samajh sakā na koī
kitāb-e-zīst kā har harf rā.egāñ Thahrā
junūn-e-ishq meñ kuchh bhī ḳhabar nahīñ mujh ko
na jaane kaun sī manzil pe kārvāñ Thahrā
maiñ jis ko ġhair samajhtā rahā sadā 'hassān'
har ek raaz kā mere vo rāzdāñ Thahrā
zamin Thahar na saki aur na aasman Thahra
mera hi zauq-e-junun mera pasban Thahra
lagai jis ke liye taKHt-o-taj ko Thokar
usi ki bazm mein main misl-e-dastan Thahra
hamara naqsh-e-qadam hai wahan wahan raushan
wafa ki rah mein thak kar jahan jahan Thahra
lipaT ke daman-e-gul se kaha ye bulbul ne
nigah-e-barq mein mera hi aashiyan Thahra
paDha sabhi ne use par samajh saka na koi
kitab-e-zist ka har harf raegan Thahra
junun-e-ishq mein kuchh bhi KHabar nahin mujh ko
na jaane kaun si manzil pe karwan Thahra
main jis ko ghair samajhta raha sada 'hassan'
har ek raaz ka mere wo raazdan Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.