zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin
zamīn thī hī nahīñ āsmān thā hī nahīñ
jahāñ pe ham the koī darmiyān thā hī nahīñ
suḳhan to varna diloñ ko bhī chiir detā hai
tire bayān meñ zor-e-bayān thā hī nahīñ
hasīn log uḌā le ga.e ḳhazāna-e-dil
ye ghar khulā thā koī pāsbān thā hī nahīñ
use bhī rog na.e mausamoñ kā lag gayā hai
havā ke ruḳh pe hamārā bhī dhyān thā hī nahīñ
ye kaun kashtī mirī sāhiloñ pe le aaya
havā thī tez bahut bādbān thā hī nahīñ
nasab kā jazb-e-tafāḳhur thā Dher miTTī kā
pata chalā ki mirā ḳhāndān thā hī nahīñ
zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin
jahan pe hum the koi darmiyan tha hi nahin
suKHan to warna dilon ko bhi chir deta hai
tere bayan mein zor-e-bayan tha hi nahin
hasin log uDa le gae KHazana-e-dil
ye ghar khula tha koi pasban tha hi nahin
use bhi rog nae mausamon ka lag gaya hai
hawa ke ruKH pe hamara bhi dhyan tha hi nahin
ye kaun kashti meri sahilon pe le aaya
hawa thi tez bahut baadban tha hi nahin
nasab ka jazb-e-tafaKHur tha Dher miTTi ka
pata chala ki mera KHandan tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.