zamin TuT gai aasman TuT gaya
zamīn TuuT ga.ī āsmān TuuT gayā
lagā jo sang-e-haqīqat gumān TuuT gayā
abhī hayāt kā 'irfān hone vaalā thā
kisī ke paaoñ kī aahaT se dhyān TuuT gayā
nahīñ sañbhāl sake ham nishānī-e-tahzīb
chilamchī TuuT ga.ī pān-dān TuuT gayā
maiñ jab thā aa.ina mahfūz thā zamāne meñ
ajiib baat hai ban kar chaTān TuuT gayā
ḳhushī kī baat ki ḳhushbū bikhar ga.ī har-sū
alam kī baat nayā itr-dān TuuT gayā
ravāñ thī naav mirī jis ke dam se ai 'merāj'
usī havā se mirā bādbān TuuT gayā
zamin TuT gai aasman TuT gaya
laga jo sang-e-haqiqat guman TuT gaya
abhi hayat ka 'irfan hone wala tha
kisi ke paon ki aahaT se dhyan TuT gaya
nahin sanbhaal sake hum nishani-e-tahzib
chilamchi TuT gai pan-dan TuT gaya
main jab tha aaina mahfuz tha zamane mein
ajib baat hai ban kar chaTan TuT gaya
KHushi ki baat ki KHushbu bikhar gai har-su
alam ki baat naya itr-dan TuT gaya
rawan thi naw meri jis ke dam se ai 'meraj'
usi hawa se mera baadban TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.