zamin walon pe kya kya sitam nahin hota
zamīn vāloñ pe kyā kyā sitam nahīñ hotā
ye āsmān magar zer-o-bam nahīñ hotā
maiñ tere sāmne huuñ misl-e-māhī-e-be-āb
tū regzār hai ashkoñ se nam nahīñ hotā
sukūt-e-nīm-shabī meñ charāġh boleñge
havā ke shor meñ iz.hār-e-ġham nahīñ hotā
fareb khāyā hai barbād ho gayā lekin
ye merā kār-e-masīhā.ī kam nahīñ hotā
mirī taraf jo haqārat se pheñk dete ho
vo talḳh luqma sipurd-e-shikam nahīñ hotā
hazār baar maiñ samjhā chukā huuñ is dil ko
ye muhtasham sar-e-taslīm ḳham nahīñ hotā
maiñ pechdār bujhārat huuñ ḳhud hī apne liye
ye fāsla hī mirā ḳhud se kam nahīñ hotā
zamin walon pe kya kya sitam nahin hota
ye aasman magar zer-o-bam nahin hota
main tere samne hun misl-e-mahi-e-be-ab
tu regzar hai ashkon se nam nahin hota
sukut-e-nim-shabi mein charagh bolenge
hawa ke shor mein izhaar-e-gham nahin hota
fareb khaya hai barbaad ho gaya lekin
ye mera kar-e-masihai kam nahin hota
meri taraf jo haqarat se phenk dete ho
wo talKH luqma sipurd-e-shikam nahin hota
hazar bar main samjha chuka hun is dil ko
ye muhtasham sar-e-taslim KHam nahin hota
main pechdar bujhaarat hun KHud hi apne liye
ye fasla hi mera KHud se kam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.