zamini rang mein Duba hua tha jal ka rang
zamīnī rang meñ Duubā huā thā jaal kā rang
samajh sake na parinde shikārī chaal kā rang
tumhāre chehre pe kyoñ aaj hai kamāl kā rang
kisī ke pyaar kā jaadū hai yā gulāl kā rang
kisī bhī ek hī rang meñ nazar nahīñ aate
alag alag huā kartā hai māh-o-sāl kā rang
khilā.īñ ḳhuun pasīne kī roTiyāñ ham ne
hamāre bachchoñ ke chehre pe hai halāl kā rang
jo sachche hote haiñ parhezgār hote haiñ
unhīñ kī aañkh meñ dekhā gayā jalāl kā rang
lagā ke paañv meñ mehñdī vo jab se utre haiñ
gulābī ho gayā us din se mere taal kā rang
tumhāre charche sune the bahut mohabbat ke
ye ḳhūnī ho gayā kaise tire ḳhayāl kā rang
kisī kī husn-e-nazar kā ye faiz hai mujh par
'hunar' ke chehre se raushan huā jamāl kā rang
zamini rang mein Duba hua tha jal ka rang
samajh sake na parinde shikari chaal ka rang
tumhaare chehre pe kyon aaj hai kamal ka rang
kisi ke pyar ka jadu hai ya gulal ka rang
kisi bhi ek hi rang mein nazar nahin aate
alag alag hua karta hai mah-o-sal ka rang
khilain KHun pasine ki roTiyan hum ne
hamare bachchon ke chehre pe hai halal ka rang
jo sachche hote hain parhezgar hote hain
unhin ki aankh mein dekha gaya jalal ka rang
laga ke panw mein mehndi wo jab se utre hain
gulabi ho gaya us din se mere tal ka rang
tumhaare charche sune the bahut mohabbat ke
ye KHuni ho gaya kaise tere KHayal ka rang
kisi ki husn-e-nazar ka ye faiz hai mujh par
'hunar' ke chehre se raushan hua jamal ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.