zara bas kholna tha uske gesu-e-pareshan ko
zarā bas kholnā thā us ke gesū-e-pareshāñ ko
jo baaqī rah gayā thā sauñp aa.e ham bayābāñ ko
junūñ hañstā hai aksar chheḌtā hai ham ko ye kah kar
kushāda kyoñ samajh baiThe the āḳhir dasht-e-imkāñ ko
sunā hai dūdhiyā gāloñ meñ koī chāñd dekhā thā
mu'ālij pūchhtā thā kyā maraz hai chashm-e-hairāñ ko
hameñ mā'lūm thā mī'ād-e-'umr-e-hijr baḌhnī hai
sabab ye thā javāñ rakhne kā dil meñ vasl-armāñ ko
ye mazmūñ is qadar pechīda shāyad yuuñ nahīñ hotā
mushaḳhḳhas kar diyā hotā jo ham ne matn-e-'unvāñ ko
zara bas kholna tha us ke gesu-e-pareshan ko
jo baqi rah gaya tha saunp aae hum bayaban ko
junun hansta hai aksar chheDta hai hum ko ye kah kar
kushada kyon samajh baiThe the aaKHir dasht-e-imkan ko
suna hai dudhiya galon mein koi chand dekha tha
mu'alij puchhta tha kya maraz hai chashm-e-hairan ko
hamein ma'lum tha mi'ad-e-'umr-e-hijr baDhni hai
sabab ye tha jawan rakhne ka dil mein wasl-arman ko
ye mazmun is qadar pechida shayad yun nahin hota
mushaKHKHas kar diya hota jo hum ne matn-e-'unwan ko
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 51)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.