zara be-iKHtiyar rahne de
zarā be-iḳhtiyār rahne de
merā dil be-qarār rahne de
chhoḌ de apne haal par mujh ko
na satā ab ke yaar rahne de
soz kuchh din mazīd dil meñ rahe
tiir nazroñ kā paar rahne de
bevafā huuñ vafā na kar paayā
kuchh hī din sharmsār rahne de
na duā de na hī davā de bas
ishq kā ye buḳhār rahne de
pyaar jo maañg kar liyā tujh se
haañ vahī bas udhār rahne de
zaḳhm bharne meñ vaqt lagtā hai
dard ke aur vaar rahne de
haal mat pūchh mujh se tū 'kāshif'
dil pe chhāyā ġhubār rahne de
zara be-iKHtiyar rahne de
mera dil be-qarar rahne de
chhoD de apne haal par mujh ko
na sata ab ke yar rahne de
soz kuchh din mazid dil mein rahe
tir nazron ka par rahne de
bewafa hun wafa na kar paya
kuchh hi din sharmsar rahne de
na dua de na hi dawa de bas
ishq ka ye buKHar rahne de
pyar jo mang kar liya tujh se
han wahi bas udhaar rahne de
zaKHm bharne mein waqt lagta hai
dard ke aur war rahne de
haal mat puchh mujh se tu 'kashif'
dil pe chhaya ghubar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.