zara bhi jaan ka KHatra uTha nahin sakte
zarā bhī jaan kā ḳhatra uThā nahīñ sakte
ye log tair ke us paar jā nahīñ sakte
alāmatoñ ke havāle se ḳhud ko pahchāno
ham in lakīroñ meñ chehra banā nahīñ sakte
qusūr-vār bhī Thahre agar to ham se ġhulām
amān-e-jāñ ke liye sar jhukā nahīñ sakte
ḳhushī meñ lipTī huī chand sā.atoñ ke evaz
tamām umr tirā ġham uThā nahīñ sakte
bahut aziiz haiñ maanā ki tere ġham lekin
ham is safar meñ tire saath aa nahīñ sakte
koī uThā.e bhī ham ko to kis taraf le jaa.e
ham apne ghar kā pata bhī batā nahīñ sakte
nazar bhī aa.e agar vo to zindagī meñ 'shakīl'
vo shor hai ki sadā bhī lagā nahīñ sakte
zara bhi jaan ka KHatra uTha nahin sakte
ye log tair ke us par ja nahin sakte
alamaton ke hawale se KHud ko pahchano
hum in lakiron mein chehra bana nahin sakte
qusur-war bhi Thahre agar to hum se ghulam
aman-e-jaan ke liye sar jhuka nahin sakte
KHushi mein lipTi hui chand saaton ke ewaz
tamam umr tera gham uTha nahin sakte
bahut aziz hain mana ki tere gham lekin
hum is safar mein tere sath aa nahin sakte
koi uThae bhi hum ko to kis taraf le jae
hum apne ghar ka pata bhi bata nahin sakte
nazar bhi aae agar wo to zindagi mein 'shakil'
wo shor hai ki sada bhi laga nahin sakte
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 51)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.