zara bhi sohbat-e-bad ka asar nahin lagta
zarā bhī sohbat-e-bad kā asar nahīñ lagtā
jab us kī baat se pahle magar nahīñ lagtā
maiñ apne ashk kī vus.at ko jāntā huuñ mujhe
samundaroñ ke talātum se Dar nahīñ lagtā
tumhāre ishq meñ shorīdgī nahīñ aa.ī
ki tujh ko dasht-o-bayābān ghar nahīñ lagtā
dikhā rahe ho azīzoñ kī bazm meñ kyūñkar
jigar ke chaak ko Tāñkā idhar nahīñ lagtā
bichhaḌne vaale kā tā-umr ġham manāne de
hamārā dil kahīñ bār-e-digar nahīñ lagtā
jigar kā zaḳhm chhupā kar jahān se rakhiye
ye aa.ina kabhī dīvār par nahīñ lagtā
safar nasīb huā hai usī ke saath ki jo
kisī taraf se sharīk-e-safar nahīñ lagtā
zara bhi sohbat-e-bad ka asar nahin lagta
jab us ki baat se pahle magar nahin lagta
main apne ashk ki wusat ko jaanta hun mujhe
samundaron ke talatum se Dar nahin lagta
tumhaare ishq mein shoridgi nahin aai
ki tujh ko dasht-o-bayaban ghar nahin lagta
dikha rahe ho azizon ki bazm mein kyunkar
jigar ke chaak ko Tanka idhar nahin lagta
bichhaDne wale ka ta-umr gham manane de
hamara dil kahin bar-e-digar nahin lagta
jigar ka zaKHm chhupa kar jahan se rakhiye
ye aaina kabhi diwar par nahin lagta
safar nasib hua hai usi ke sath ki jo
kisi taraf se sharik-e-safar nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.