zara dekho meri tanhaiyan bhi
zarā dekho mirī tanhā.iyāñ bhī
na is pe aa.iiñ gar jo hichkiyāñ bhī
ġhazal maiñ bhī sunā duuñ ek do ab
ijāzat deñ agar ye laḌkiyāñ bhī
qayāmat duur bilkul bhī nahīñ hai
agar maarī ga.iiñ yuuñ beTiyāñ bhī
karūñgā shā'irī maiñ dil lagā kar
magar pahle mile do roTiyāñ bhī
batā.ūñ laḌkiyo ik baat tum ko
laḌo to toḌ do tum beḌiyāñ bhī
'vijay' ḳhush hai tujhe hī dekh kar bas
nahīñ haiñ ḳhvāb meñ to titliyāñ bhī
zara dekho meri tanhaiyan bhi
na is pe aain gar jo hichkiyan bhi
ghazal main bhi suna dun ek do ab
ijazat den agar ye laDkiyan bhi
qayamat dur bilkul bhi nahin hai
agar mari gain yun beTiyan bhi
karunga sha'iri main dil laga kar
magar pahle mile do roTiyan bhi
bataun laDkiyo ek baat tum ko
laDo to toD do tum beDiyan bhi
'wijay' KHush hai tujhe hi dekh kar bas
nahin hain KHwab mein to titliyan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.