zara sa shar tha agar KHair se nikal jata
zarā sā shar thā agar ḳhair se nikal jaatā
ta.alluqāt kā mafhūm hī badal jaatā
koī sunahrī kiran roz ham banā lete
ye barf hotā huā shahr kuchh pighal jaatā
kisī shajar pe mohabbat se haath rakh dete
to ghoñsloñ pe musallat azaab Tal jaatā
tane se Tek lagā.e manāte shām-e-vafā
to raat raat meñ saarā daraḳht phal jaatā
maiñ sabz bel ke mānind phailtī har sū
safed ūñche sutūnoñ pe merā bal jaatā
tire nafīs amāme ke pech yuuñ khulte
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ meñ Dhal jaatā
kapās chuntī huī aurteñ sukhī hotīñ
jahāñ jahāñ ye zamīñ hai kisāñ kā hal jaatā
gharoñ meñ phailtī jaatī mohabbatoñ kī mahak
muġhā.irat kā dhuāñ ḳhud-ba-ḳhud nikal jaatā
ham ek dūsre kī baat rakh liyā karte
ye rakh-rakhāv sabhī fāsle nigal jaatā
zara sa shar tha agar KHair se nikal jata
talluqat ka mafhum hi badal jata
koi sunahri kiran roz hum bana lete
ye barf hota hua shahr kuchh pighal jata
kisi shajar pe mohabbat se hath rakh dete
to ghonslon pe musallat azab Tal jata
tane se Tek lagae manate sham-e-wafa
to raat raat mein sara daraKHt phal jata
main sabz bel ke manind phailti har su
safed unche sutunon pe mera bal jata
tere nafis amame ke pech yun khulte
musafiron ke liye saeban mein Dhal jata
kapas chunti hui aurten sukhi hotin
jahan jahan ye zamin hai kisan ka hal jata
gharon mein phailti jati mohabbaton ki mahak
mughairat ka dhuan KHud-ba-KHud nikal jata
hum ek dusre ki baat rakh liya karte
ye rakh-rakhaw sabhi fasle nigal jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.