zara si bap mera kya zamin chhoD gaya
zarā sī baap mirā kyā zamīn chhoḌ gayā
haiñ saat bachche to azvāj tiin chhoḌ gayā
mujhe mile to maiñ us naujavāñ ko qatl karūñ
jo bad-zabāñ ke liye nāznīn chhoḌ gayā
rahā jo muft ye hujra diyā sajā ke use
makāñ kushāda thā lekin makīn chhoḌ gayā
pilāyā duudh bhī aur naaz bhī uThā.e magar
kamāl saañp thā jo āstīn chhoḌ gayā
palaT to jaanā hai ham sab ko ek din yaaro
magar vo shaḳhs jo yādeñ hasīn chhoḌ gayā
maiñ apnī talḳh-mizājī pe ḳhud huā hairāñ
gayā vo shaḳhs to lahja matīn chhoḌ gayā
abhī kī haq ne atā kī hai kal kī dekheñge
ab aisī bātoñ pe kaahe yaqīn chhoḌ gayā
vo ek jogī jo nāgin kī khoj meñ aayā
huā kuchh aisā ki vo apnī biin chhoḌ gayā
sila ḳhulūs-o-aqīdat kā maañg saktā thā
jo ek shaḳhs zamīñ par jabīn chhoḌ gayā
ḳhudā kā ḳhauf nahīñ virus kā thā ḳhadsha
jise bhī mauqa milā hai vo chiin chhoḌ gayā
koī maze se mirā khel dekhtā thā 'rashīd'
magar jo dekhne vaalā thā scene chhoḌ gayā
zara si bap mera kya zamin chhoD gaya
hain sat bachche to azwaj tin chhoD gaya
mujhe mile to main us naujawan ko qatl karun
jo bad-zaban ke liye naznin chhoD gaya
raha jo muft ye hujra diya saja ke use
makan kushada tha lekin makin chhoD gaya
pilaya dudh bhi aur naz bhi uThae magar
kamal sanp tha jo aastin chhoD gaya
palaT to jaana hai hum sab ko ek din yaro
magar wo shaKHs jo yaaden hasin chhoD gaya
main apni talKH-mizaji pe KHud hua hairan
gaya wo shaKHs to lahja matin chhoD gaya
abhi ki haq ne ata ki hai kal ki dekhenge
ab aisi baaton pe kahe yaqin chhoD gaya
wo ek jogi jo nagin ki khoj mein aaya
hua kuchh aisa ki wo apni bin chhoD gaya
sila KHulus-o-aqidat ka mang sakta tha
jo ek shaKHs zamin par jabin chhoD gaya
KHuda ka KHauf nahin wirus ka tha KHadsha
jise bhi mauqa mila hai wo chin chhoD gaya
koi maze se mera khel dekhta tha 'rashid'
magar jo dekhne wala tha scene chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.