zara si baat ka dil ko malal aa hi gaya
zarā sī baat kā dil ko malāl aa hī gayā
lagī jo Thes to shīshe pe baal aa hī gayā
nahīñ jo vāqif-e-tahzīb-e-mai-kada vā'iz
zabāñ pe zikr-e-harām-o-halāl aa hī gayā
pakaḌ liyā mire hāthoñ ko ai ḳhudī tū ne
tirā ḳhayāl jo vaqt-e-savāl aa hī gayā
har ek lamha isī intizār meñ guzrā
ḳhudā kā shukr payām-e-visāl aa hī gayā
yaqīñ thā vā'da-e-fardā pe aap ke lekin
guzishta vā'doñ kā dil meñ ḳhayāl aa hī gayā
kuchh aisā vaqt bhī aaya mirī ḳhamoshī par
zabāñ se mauqa-e-iz.hār-e-hāl aa hī gayā
hazār chāhā thā maiñ ne 'azāb se bachnā
ta'alluqāt kā sar par vabāl aa hī gayā
ye māntā huuñ ki 'bahzād' kuchh nahīñ lekin
tumhārī bazm meñ ye ḳhasta-hāl aa hī gayā
zara si baat ka dil ko malal aa hi gaya
lagi jo Thes to shishe pe baal aa hi gaya
nahin jo waqif-e-tahzib-e-mai-kada wa'iz
zaban pe zikr-e-haram-o-halal aa hi gaya
pakaD liya mere hathon ko ai KHudi tu ne
tera KHayal jo waqt-e-sawal aa hi gaya
har ek lamha isi intizar mein guzra
KHuda ka shukr payam-e-visal aa hi gaya
yaqin tha wa'da-e-farda pe aap ke lekin
guzishta wa'don ka dil mein KHayal aa hi gaya
kuchh aisa waqt bhi aaya meri KHamoshi par
zaban se mauqa-e-izhaar-e-haal aa hi gaya
hazar chaha tha main ne 'azab se bachna
ta'alluqat ka sar par wabaal aa hi gaya
ye manta hun ki 'bahzad' kuchh nahin lekin
tumhaari bazm mein ye KHasta-haal aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.