zara si baat par ghabrane wale
zarā sī baat par ghabrāne vaale
'ajab ham ko mile samjhāne vaale
hameñ to rāt-bhar ko chāhiyeñ log
kahāñ haiñ baat ko uljhāne vaale
zamāne se nahīñ aa.e vo tūfāñ
hameñ sahrāoñ tak phailāne vaale
yahī to asl mujrim haiñ tumhāre
tumheñ mujrim nahīñ Thahrāne vaale
magar ye bol mīThe hī raheñge
badal jā.eñge in ko gaane vaale
zara si baat par ghabrane wale
'ajab hum ko mile samjhane wale
hamein to raat-bhar ko chahiyen log
kahan hain baat ko uljhane wale
zamane se nahin aae wo tufan
hamein sahraon tak phailane wale
yahi to asl mujrim hain tumhaare
tumhein mujrim nahin Thahrane wale
magar ye bol miThe hi rahenge
badal jaenge in ko gane wale
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 62)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.