zara si baat pe aankhen bhigone lagte the
zarā sī baat pe āñkheñ bhigone lagte the
hamāre jaise ḳhushī meñ bhī rone lagte the
udāsī ġhair kī āñkhoñ meñ jab bhī dikhtī thī
use bhī apnī hī āñkhoñ meñ Dhone lagte the
ajiib qurb thā tujh se ki vaqt-e-ruḳhsat meñ
udaas ghar ke sabhī log hone lagte the
hameñ pata hī nahīñ thī haqīqat-e-ta.abīr
saverā hote hī ham ḳhvāb bone lagte the
ġham-e-hayāt meñ vahshat kā aalam aisā thā
ki chīḳhte hue se ghar ke kone lagte the
bas apne jaise hī karte the ratjage varna
the aise log bhī jo ro ke sone lagte the
tirī nadī kī ravānī meñ thī kashish aisī
ham apnī kashtiyāñ ḳhud hī Dubone lagte the
zara si baat pe aankhen bhigone lagte the
hamare jaise KHushi mein bhi rone lagte the
udasi ghair ki aankhon mein jab bhi dikhti thi
use bhi apni hi aankhon mein Dhone lagte the
ajib qurb tha tujh se ki waqt-e-ruKHsat mein
udas ghar ke sabhi log hone lagte the
hamein pata hi nahin thi haqiqat-e-tabir
sawera hote hi hum KHwab bone lagte the
gham-e-hayat mein wahshat ka aalam aisa tha
ki chiKHte hue se ghar ke kone lagte the
bas apne jaise hi karte the ratjage warna
the aise log bhi jo ro ke sone lagte the
teri nadi ki rawani mein thi kashish aisi
hum apni kashtiyan KHud hi Dubone lagte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.