zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai
zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai
Mohaamad Nasim Nawaz
MORE BYMohaamad Nasim Nawaz
zarā sī bad-gumānī dil meñ nafrat Daal detī hai
virāsat bhā.ī-bhā.ī meñ adāvat Daal detī hai
mohabbat kī nazar se dekhtā huuñ maañ kī jānib jab
mire hisse meñ vo qadmoñ kī jannat Daal detī hai
koī nāz-o-adā se jiit letā hai kisī kā dil
kisī kī sādgī dil meñ mohabbat Daal detī hai
sunā hai maiñ ne niiñd aatī nahīñ gar peT ḳhālī ho
ġharībī aisā nusḳha hai ye aadat Daal detī hai
sila apnī vafā kā yuuñ hukūmat ham ko detī hai
kahīñ bhī hādisa ho ham pe tohmat Daal detī hai
vafā kā dars gar ho sīkhnā sīkho 'navāz' us se
fanā ho kar hathelī meñ jo rangat Daal detī hai
zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai
wirasat bhai-bhai mein adawat Dal deti hai
mohabbat ki nazar se dekhta hun man ki jaanib jab
mere hisse mein wo qadmon ki jannat Dal deti hai
koi naz-o-ada se jit leta hai kisi ka dil
kisi ki sadgi dil mein mohabbat Dal deti hai
suna hai main ne nind aati nahin gar peT KHali ho
gharibi aisa nusKHa hai ye aadat Dal deti hai
sila apni wafa ka yun hukumat hum ko deti hai
kahin bhi hadisa ho hum pe tohmat Dal deti hai
wafa ka dars gar ho sikhna sikho 'nawaz' us se
fana ho kar hatheli mein jo rangat Dal deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.